Meri Roz-O-Shab Hai yahi Dua

Aey Mere RUB koi Zabt De Na jalal De, Mujhe Sirf itna kamal De,

Mujhe Apni rah pe Dal De, K Zamana Meri Misal De,

 

Jo Teri Rehmaton ka Nazol Ho,  Muje Mehnato ka Sila Mile,

Mujhe Mal-O-Zar ki Hawas Na Ho,   Mujhe Bus Tu Rizq-E-Halal De,

 

Mere Zehn Me Teri Fikr Ho,  Meri Sans Me Tera Zikr Ho,

Tera Khauf Meri Nijat ho,  Sabhi Khauf Dil Se Nikal De,

 

Teri Bargah Me Aey RUB, Meri Roz-O-Shab Hai yahi Dua,

Tu RAHEEM Hy Tu KAREEM Hy, Tu Mujhy Mushkilon se Nikal De

 

***** ( “Aameen”) *****

Na Jaany kis Mitti ka bana Hai

Na Jaany kis Mitti ka bana Hai ye December,

Shamein Bhi Sogawar is ki,

Sawery Bhi udaas is k

ناجانے کس مٹی کا بنا ہے یہ دسمبر
شامیں بھی سوگوار اسکی
سویرے بھی اُداس اسکے

 

DOSTON ki khatir

Dua ki sorat mein DOSTON ki khatir jo mere honton se lafz nikle,

Jo Meri Aankhon se Ashk nikle,

Unhi k badley mere ALLAH

Jab bhi DOSTON ka naseeb likhna

UROOJ likhna

KAMAL likhna,

kabhi na harf-e-zawal likhna,

Khushiyan likhna,

aur un ki Umar Daraz likhna…

Ameen