INSAAN ki haqeeqat kia hai

Insan apni marzi k khilaaf duniya mein aata hai
aur apni khuwahish k khilaaf yahaan se chala jata hai
bachpan mein farishta
jawani mein shaitaan
aur
burrhaape mein bewaqoof samjha jata hai
ghareeb hai
to fazool hai
ameer hai
to maghroor hai

khairaat karta hai
to shuhrat ka bhooka
nahi karta
to kanjoos hai

mazhab parast hai
to makkaar hai
mazhab se door hai
to gunnahgaar hai

duniya mein aata hai
to har koi usey choomna chahta hai
duniya se jaane k baad har koi us se jaan chhuraana chahta hai
aakhir is INSAAN ki haqeeqat kia hai??