Maqroz K Bigrey Howe Halaat Ki Manind

Maqroz K Bigrey Howe Halaat Ki Manind,
Majbor K Honton Pe Sawalaat Ki Manind,

Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Howa Hai,
Sailaab Se Barbad Makanaat Ki Manind,

Main Un Mein Bhatakte Howe Jugnu Ki Tarha Hon,
Us Shakhs Ki Ankhein Hain Kisi Raat Ki Manind,

Dil Roz Sajata Hon Main Dulhan Ki Tarha Se,
Gham Roz Chale Aatey Hain Baraat Ki Manind,

Ab Ye Bhi Nahi Yaad K Kiya Naam Tha Us Ka?
Jis Shakhs Ko Manga Tha, Manajaat Ki Manind,

Kis Darja Mukaddas Hai Terey Qurb Ki Khwahish,
Masoom Se Bachchy K Khayalaat Ki Manind,

Us Shakhs Se Milna Mera Mumkin Hi Nahi Tha,
Main Pyas Ka Sehra Hon Vo Barsaat Ki Manind,

Samjhao Usay Faiz K Ab Reham Karey Wo,
Dukh Bantta Phirta Hai Vo Soghat Ki Manind.

Hazrat Abdullah bin masood farmaty hain

Hazrat Abdullah bin masood farmaty hain. Dil ki 3 ragen hoti hain. agar apne Emaan ko prakhna hai k mera dil zinda hai ya mar gaya hai to.

1. Quran khol k parho dekho dil lag raha hai ya nahi.

2. Us mehfil me betho jahan Allah ka zikr ho raha ho. dekho dil lag raha hai ya nahi.

3. Tanhae me beth ke dekho k tuje Allah ki yaad tarpa rahi hai ya nahi.
Agar jawab haan hai to tumhen khush hona chahiye k dil abhi zinda hai. Agar jawab na hai to daro, Allah se dua karo k tum par raham kary.

Best in the World Leader : ALLAH

Best in the World
Leader : ALLAH
Guid : QURAN
Life Style : ISLAM
Person : MOMIN
Personality : MOHAMMAD (S.A.W.W)
Routine : SUNNAT
Law : SHARIYAT
Lyrics : AZAAN
Loyalty : EMAAN
Request : DUA
Protection : SADQA
Oath : KALMA
Excercise : NAMAZ
Control : ROZA
Charity : ZAKAT
Tour : HAJJ
Decision : SABAR
Work : TABLIGH
Action : NEKI
Hobby : DUROOD
Hope : WE WILL TRY OUR BEST TO OBEY

Achi Nahi Lagti

Chiragh-E-Shab Ko Jesay Aandhiyaan Achi Nahi Lagti,
Kuch Aisay Hi Humen Khush Fehmiyaan Achi Nahi Lagti,

Jinhain Soney K Pinjrey Mein Ghiza Mil Jaye Chandi Ki,
Unhain Phir Umar Bhar Aazadian Achi Nahi Lagti,

Woh Jin K Dil Mein Fasal-E-Gham Ne Darey Daal Rakhy Hon,
Unhain Pholon Pe Bethi Titliyaan Achi Nahi Lagti.