Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai

Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai

Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere ru – ba – ru kehna mujhe tum se Mohabbat hai

chehra hamaara tha to nigahe unki

chehra hamaara tha to nigahe unki
khamoshi me bhi wo baate unki
hamaare chehre par ghazal likhte gaye
sher kehti hui ankhe unki
shokh lamho ko pata dene lagi
tez hoti hui saanse unki
aise mausam bhi guzaare humne
subha hamaari to sham unki

Tera Kia Bana

Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha, Tera Kia Bana?
Tu Khamosh Kion Hai Mujhe Bata, Tera Kia Bana?

Wo Naseeb Se Teri Jang Thi, Meri Bhi Thi,
Main To Kamyab Na Ho Saka, Tera Kia Bana?

Nayi Manzilon Ki Talash Thi So Bichar Gaye,
Main Bichar K Tujh Se Bhatak Gaya, Tera Kia Bana?

Main Muqable Mein Shareek Tha Faqat Is Liye,
Koi Mujh Se Aa K Bhi Poochta, Tera Kia Bana?

Mujhe Ilm Tha K Shikast Mera Naseeb Hai,
Tu Umeed-War Tha Jeeta Ka, Tera Kia Bana?

Tu Khamosh Tha To Mujhe Laga K Khush Hai Tu,
Tere Bolne Se Pata Chala K Tera Kia Bana.

(Dr. Taymor Hassan Taymor Poetry)

Chashm-E-Saqi Ne Ye Kiya Khel Racha Rakha Hai

Chashm-E-Saqi Ne Ye Kiya Khel Racha Rakha Hai,
Koi Zahid Koi Mekhawar Bana Rakha Hai,

Jo Phansa Phir Na Kabhi Us Ne Rehai Mangi,
Teri Zulfon Ne Ajab Jaal Becha Rakha Hai,

Husan Ho Ishq Ho Dono Ka Asar Yaksaan Hai,
Cheez Ek Hai Magar Naam Juda Rakha Hai,

Choom Leti Hai Latak Kar Kabhi Chehra Kabhi Lab,
Tum Ne Zulfon Ko Bohat Sir Pe Charha Rakha Hai,

Teri Makhmoor Negahon Se Hai Ronaq Sari,
Warna Saqi Tere Mekhaney Mein Kiya  Rakha Hai.