Tere baghair bhi yeh zindagi Fazool nahi

Tere baghair bhi yeh zindagi Fazool nahi,
Main jhot baat kahoon yeh mera Asool nahi.

Tere bhi dil mein khalish hai to mujh se mil werna,
Yeh Bay Khaloos Muhabbat mujhe Qabool nahi.

Qadam to rakha hai lakin yeh soch loo ab bhi,
Wafa ki rah mein kanty Bhi hain sirf Phool nahi.

Main tere Jazb e Janoon ka yaqeen karoon kasy,
Ke tere Chahre peh Dasht e Talab ki Dhool nahi.

Main Arzoon ko seeny mein Dafan ker loon gi,
Sawal kerna kisi se mera Asool nahi.

Kabhi wo Waqt, Udaasi mein Lutf milta hai,
Kabhi wo Lamha, Khushi bhi koi Qabool nahi.

Ussy Qareeb se dekha to yeh Pata paya,
Wo Shookh itna bhi Na Qabil e Hasool nahi.

Aankh se door na ho dil se utar jayega

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega,
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jayega,

آنکھ سے دور نہ ہو دل سے اتر جائے گا
وقت کا کیا ہے گزرتا ہے گزر جائے گا

Itna Manoos Na Ho Ḳhalvat-e-Gham Se Apni,
Tu Kabhi Ḳhud Ko Bhi Dekhega To Dar Jayega,

اتنا مانوس نہ ہو خلوت غم سے اپنی
تو کبھی خود کو بھی دیکھے گا تو ڈر جائے گا

Continue reading “Aankh se door na ho dil se utar jayega”