Kuch Tu Hawa Bhi Sard Thi

Kuch Tu Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi Kay Sath Sath, Hota Raha Malaal Bhi.

Baat Wo Adhi Raat Ki, Raat Wo Puray Chaand Ki,
Chaand Bhi Aain Cheet Ka Is Pay Tera Jamaal Bhi.

Sub se Nazar Bacha k wo mujh ko kuch aise dekhta,
Ek Dafa to ruk gayi Gardish-e-Mah o Saal Bhi.

Dil ko Chamak Sake ga Kia, Phir bhi Tarash k Dekh Lay,
Sisha Garane-Shahar k Haat ka ye Kamal Bhi,

Us Ko Na Paa Sakay Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palat Kay Dekhye, Baat Thi Kuch Mohaal Bhi,

Meri Talab Tha Aik Shaks Wo Jo Nahi Mila Tu Phir,
Haath Dua se Yun Gira, Bhol Gaya Sawal Bhi,

Shaam Ki Na Samaj Hawa Poch Rahi Hai Ek Pata,
Mouj-e-Hawa-e-Ko-e-Yaar Kuch To Mera Khayal Bhi.
(Parveen Shakir)

Tere baghair bhi yeh zindagi Fazool nahi

Tere baghair bhi yeh zindagi Fazool nahi,
Main jhot baat kahoon yeh mera Asool nahi.

Tere bhi dil mein khalish hai to mujh se mil werna,
Yeh Bay Khaloos Muhabbat mujhe Qabool nahi.

Qadam to rakha hai lakin yeh soch loo ab bhi,
Wafa ki rah mein kanty Bhi hain sirf Phool nahi.

Main tere Jazb e Janoon ka yaqeen karoon kasy,
Ke tere Chahre peh Dasht e Talab ki Dhool nahi.

Main Arzoon ko seeny mein Dafan ker loon gi,
Sawal kerna kisi se mera Asool nahi.

Kabhi wo Waqt, Udaasi mein Lutf milta hai,
Kabhi wo Lamha, Khushi bhi koi Qabool nahi.

Ussy Qareeb se dekha to yeh Pata paya,
Wo Shookh itna bhi Na Qabil e Hasool nahi.

Tumko ik talkh haqiqat bhi bata dety hain

Tumko ik talkh haqiqat bhi bata dety hain,
jis ko aksar ye log chupa dety hain,

Tum ne girty howe patton ko to dekha hoga,
Apni her saans wo tehni pe Gnwa dety hain,

Kia khoob sajaty hain baharon mein shajer ko,
kari dhoop mein apna aap jala dety hain,

Kitny be-reham shajer hain, Naye patton ki khushi mein,
Peely patton ko khizaon mein gira dety hain,

Aur jo girty hain qadmon mein shajer k,
log unhi patton ko pairon se daba dety hain.

Tum meri kon ho Tum se hai Taluq kaisa

Tum meri kon ho Tum se hai Taluq kaisa?

Tum kisi Dhund mein Lipti hoee Tanhai ho,
Meri shohrat ho, Dua ho, Meri Ruswaee ho.

Baat Karti ho kabhi chup mein bikhar jati ho.
Kio meri roh k goshon pe situm dhati ho.

Tum meri kon ho Tum se hai Taluq kaisa?

Gungunati ho to mehsoos ye hota hai mujhe,
jaise daryaon k sahil se sada aati ho.

door jata hon to daman se Lipat jati ho,
pas aata hon to khwabon mein utar jati ho.

Tum mere pas ho na door ho mere Dil se,
Tum meri kon ho Tum se hai Taluq kaisa?
(Wasi Shah)