Ramooz-e-Maslehat ko Zahen Par Taari Nahi Karta

Ramooz-e-Maslehat ko Zahen Par Taari Nahi Karta,
Zameer-e-Aadmiyat se Main Ghaddari Nahi Karta,


Qalam Shakh-e-Sadakat Hai, Zuban Barg-e-Amanat Hai,
Jo Dil Mein Hai Wo Kehta Hon, Adakari Nahi Karta,


Main Aakhir Aadmi Hon Koi Laghzish Ho Hi Jati Hai,
Magar Ek Wasf Hai Mujh Mein, Dil Aazari Nahi Karta,


Main Daman-e-Nazar Mein Kis Liye Sara Chaman Bhar Lon,
Mera Zoq-e-Tamasha Baar Bardari Nahi Karta,


Makafat-e-Amal Khud Raasta Tajvez Karti Hai,
Khuda Qomon Pe Apna Fesla Jari Nahi Karta.

Ho Gaye Rukhsat Ghata Barish Ke Baad

Ho Gaye Rukhsat Ghata Barish Ke Baad,
Aik Diya Jalta Raha Barish Ke Baad,

Meray Behtay Huyey Anson Ko Dekh Ker,
Ro Pari Thandi Hawa Barish Ke Baad,

Meri Tanhai Ka Daman Tham Ker,
Kuch Udasii Nay Kaha Barish Ke Baad,

Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya,
Khwab Ka Daar Khul Gaya Barish Ke Baad,

Chand Dekh Ker Badlon Ki Qaid Main,
Aik Sitara Ro Dia Barish Ke Baad,

Apnay Ghar Ki Her Katchi Dewar Per,
Naam Tera Likh Dia Barish Ke Baad.

YuN bhi terey tasavvur sey Hum ne kiye Giley

YuN bhi terey tasavvur sey Hum ne kiye Giley,
WaadoN ko Teray Yaad kar k Muskura Diye.

Waqt k badaltey chehroN ko takti rahi Umeed,
AaNkhoN meiN intizaar k roshan Rahey Diye.

Tu rasta bhatak bhatak gayaa dil Maanta nahi,
k tujhey hifz they jo raastey wohi nahi Miley.

HawaaoN k haath jhoti koi tasalli hi bhej dey,
Bey-jaan waadoN ki shaakh pey koi tu Gul khiley.

mujh se qata-e-taa’aluq pe manaa liya tujhey,
Terey dil ko meri jaan kesey ye hosley huwey.

Jo Tu Kahey To Tujhey Umr Bhar Miloon Bhi Nahin

Faraz Abb Koi Sauda Koi Junoon Bhi Nahin,
Magar Qaraar Say Din Kat Rahey Hon Yoon Bhi Nahin,

 

Na Jaaney Kyun Mairi Aankhein Barasney Lagti Hain,
Jo Sach Kahoon To Kuch Aisa Udaas Hoon Bhi Nahin,

 

Dukhon Ke Dhair Lagey Hain Ke Log Baitthey Hain,
Issi Diyar Ka Main Bhi Hoon Aur Hoon Bhi Nahin,

Continue reading “Jo Tu Kahey To Tujhey Umr Bhar Miloon Bhi Nahin”