Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Janan

Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Janan,
Yaad Kia Tujh Ko Dilayen Tera Payman Janan,

اب کے تجدید وفا کا نہیں امکاں جاناں
یاد کیا تجھ کو دلائیں ترا پیماں جاناں

Yunhi Mausam Ki Ada Dekh K Yaad Aaya Hai,
Kis Qadar Jald Badal Jaate Hain Insan Janan,

یوں ہی موسم کی ادا دیکھ کے یاد آیا ہے
کس قدر جلد بدل جاتے ہیں انساں جاناں

Continue reading “Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Janan”

Ab K Hum Bichre To Shayad

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Ḳhwabon Mein Milen,
Jis Tarah Sokhe Howe Phool Kitabon Mein Milen,

اب کے ہم بچھڑے تو شاید کبھی خوابوں میں ملیں
جس طرح سوکھے ہوئے پھول کتابوں میں ملیں

Dhondh Ujre Howe Logon Mein Wafa K Moti,
Ye Ḳhazane Tujhe Mumkin Hai Ḳharabon Mein Milen,

ڈھونڈ اجڑے ہوئے لوگوں میں وفا کے موتی
یہ خزانے تجھے ممکن ہے خرابوں میں ملیں

Continue reading “Ab K Hum Bichre To Shayad”

Aashiqui Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo

Aashiqi Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo,
Bawle Ho Jaogy Mahtab Mat Dekha Karo,

عاشقی میں میرؔ جیسے خواب مت دیکھا کرو
باؤلے ہو جاؤ گے مہتاب مت دیکھا کرو

Jasta Jasta Parh Liya Karna Mazamin-e-Wafa,
Par Kitab-e-Ishq Ka Har Baab Mat Dekha Karo,

جستہ جستہ پڑھ لیا کرنا مضامین وفا
پر کتاب عشق کا ہر باب مت دیکھا کرو

Continue reading “Aashiqui Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo”

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Tu Bade Pyar Se Chao Say Bade Maan K Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko

Aur Betabi Se Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Me Doobi Jo Ghumati Mujh Ko

Main Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti

Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jata Continue reading “Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota”