Aqeedaton Pe Hai Dunya Ko Aitraaz Bohat

Aqeedaton Pe Hai Dunya Ko Aitraaz Bohat,

K Hai Mizaj-e-Zamana Fasana Saaz Bohat,

Tera Gharoor-e-Ibadat Tujhy Na Le Doobay,

Suna Hai Parhta Tha Iblees Bhi Namaz Bohat,

Yeh Keh Rahe Thy Kal Awargan Koocha-e-Yar,

Adaain Aaj Bhi Hain Us Ki Dilnawaz Bohat,

Unhain Shaoor-e-Mohabbat Nahin KHUDA Ki Qasam,

Jo Log Hain Teri Mehfil Mein Sarfaraz Bohat,

Meri Khushi Ka Zamana Hawa Ka Jhonka Tha,

Mere Ghamon Ki Rahi Zindagi Daraaz Bohat.

Ab Waqt-e-Judai Hai Mujhe Ab Alwida Keh Do

Ab Waqt-e-Judai Hai Mujhe Ab Alwida Keh Do,

Ab Phir Wo Tanhai Hai Mujhe Ab Alwida Keh Do,

Main Lakh Bura Hon Yaroon Ki Nazar Mein

Dil Ro To Raha Hai Magar Mujhe Ab Alwida Keh Do,

Mere Ansoo To Mere Hain Meri Khushiyan Tumhari Hain,

Mubarak Tumko Ye Khushiyan Mujhe Ab Alwida Keh Do,

Mere Jane Par Na Rona Mujhe Tum Yaad Na Karna,

Main Tanha Tha Tanha Hon Mujhe Ab Alwida Keh Do,

Mujhe Afsoos To Hoga Yun Tum Se Door Jane Ka,

Meri Yaadon Mein Tum Hi Ho Mujhe Ab Alwida Keh Do,

Kab hoe pyar ki barsat humain yaad nahi

Kab hoe pyar ki barsat humain yaad nahi,
Khof mein doobi mulaqat humain yaad nahi,

Hum to madhosh thay kuch itna us ki chahat mein,
Us ne kab chor dia sath humain yaad nahi,

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kati hai,
Janay kis jurm ki pae hai saza yadd nahi,

Main ne palko se dar e yaar par dastak di hai,
Main wo sahil hon jisay koi sada yaad nahi,

Aao ek sajda karain Aalam e madhoshi mein,
Log kehtay hain k Rind ko Khuda yaad nahi.
(Saghar Siddiqui)

Kuch Lamhe November K Maine Yun Guzare Hain

Kuch Lamhe November K
Maine Yun Guzare Hain,

Mausam Teri Yadoon K
Tasveer Mein Utare Hain,

Kapkapate Hoonton se,
Dagmagati Dharkan se,

Maine Apne Khaliq se,
Bus Dua Ye Mangi Hai,

Ab K Bar Sawan Mein,
Jab Bhi Badal Utrain To,

Bas Yahi Tamanna Hai,
Nafraton Ki Baarish Mein,

Dushmanon Ki Saazish Mein,
Bus Isi Guzarish Mein,

Zindagi Ko Jeene Ka,
Ikhtiyaar Mil Jaye,

Aey Mere KHUDA Mujhko,
Mera Pyar Mil Jaye.