Har Simt Gham-e-Hijr K Toofan Hain

Har Simt Gham-e-Hijr K Toofan Hain Saghar,

Mat Poch K Hum Kitne Parishan Hain Saghar,

Har Chehra Nazar Aata Hai Tasveer Ki Surat,

Hum Shehar K Logon Se Bhi Anjan Hain Saghar,

Jis Shehar-e-Mohabbat Ne Humain Loot Liya Hai,

Us Shehar Se Ab Koch Ka Saman Hain Saghar,

Kashti Abhi Ummeed Ki Doobi To Nahi Hai,

Phir Kio Teri Aankhon Mein Ye Toofan Hain Saghar,

Kar In Ka Adab Rakh Inhen Seenay Se Laga Kar,

Ye Dard, Ye Tanhaiyan Mehmaan Hain Saghar.

” Saghar Siddique “

Kab hoe pyar ki barsat humain yaad nahi

Kab hoe pyar ki barsat humain yaad nahi,
Khof mein doobi mulaqat humain yaad nahi,

Hum to madhosh thay kuch itna us ki chahat mein,
Us ne kab chor dia sath humain yaad nahi,

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kati hai,
Janay kis jurm ki pae hai saza yadd nahi,

Main ne palko se dar e yaar par dastak di hai,
Main wo sahil hon jisay koi sada yaad nahi,

Aao ek sajda karain Aalam e madhoshi mein,
Log kehtay hain k Rind ko Khuda yaad nahi.
(Saghar Siddiqui)