Is Ibtida Ki Saleqy Se Inteha Karty

Is Ibtida Ki Saleqy Se Inteha Karty,

Wo Ek Bar Mily Thy To Phir Mila Karty,

 

Kewar Garche Muqaffal Thy Us Haveli K,

Magar Faqeer Guzarty Rahy Sada Karty,

 

Humain Qarina-e-Ranjish Kahan Moyassar Hai,

Hum Apne Bas Mein Jo Hote Tera Gila Karty,

 

Teri Jafa Ka Falak Se Na Tazkira Chera,

Hunar ki Baat Kisi Kam Hunar Se Kia Karty,

 

Tujhy Nahi Hai Abhi Fursat-e-Karam, Na Sahi,

Thaky Nahi Hai Mere Haath Bhi Dua Karty,

 

Unhen Shikayat-e-Be-Rabt-e-Suḳhan Thi Magar,

Jhijak Raha Tha Main Izhar-e-Muddua Karty,

 

Chiqen Giri thin Darichon Pe Chaar su Anwar,

Nazar Jhuka k Na Chalte To Aur Kia Karty.

Anwar Masood

Author: admin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *