Mazdoor Hon Mein مزدور ہوں میں

Hath Aur Paon Bataty Hain K Mazdoor Hon Mein,

ہاتھ اور پاؤبتاتے ہیں کے مزدور ہوں میں

Mera Malboos Bhi Kehta Hai K Majboor Hon Mein,

میراملبوس بھی کہتا ہے کہ مجبور ہوں میں

 

Fakhr Karta Hon K Khata Hon Faqt Rizq-e-Halal,

فخر کرتا ہوں کہ کھاتا ہوں فقط رزقِ حلال

Apne Is Wasf-e-Qalandar Pe To Maghroor Hon Mein,

اپنے اس وصفِ قلندر پہ تو مغرور ہوں میں

Continue reading “Mazdoor Hon Mein مزدور ہوں میں”

Mazdoor Ka Din

Ujrat Mein Howa Na Izafa Aur Kaam Bhi Char Gaya,

Mazdoor Ka Din Tha, Ameer Ka Aaram Barh Gaya.

اُجرت میں ہوا نہ اضافہ اور کام بھی چڑھ گیا

مزدور کا دن تھا، امیر کا آرام بڑھ گیا۔