Berukhi Usne Bhi Ki Uzr-E-Zamana Kar K

Berukhi Usne Bhi Ki Uzr-E-Zamana Kar K,
Hum Bhi Mehfil Se Uthh Aaye Hain Bahana Kar K,

Kitni Batain Jo Na Kehna Theen Likh Bheji Hain,
Ab Pasheman Hain Qassid Ko Rawana Kar K,

Kia Kahain Kia Hai Un Aankhon Me K Rakh Deti Hain,
Aik Achay Bhaley Insaan Ko Dewana Kar K,

Koi Werana-e-Hasti Ki Khabr Kia Leta,
Khud Bhi Hum Bhool Gaye Dafn Khazana kar K,

Wo Agar Aankhon Mein Rehta to Bohat Khush Thy Tabish,
Usne Ye Bohat Zulm Kia Dil Mein Thikana Kar K.

Beqarari Si Beqarari Hai

Beqarari Si Beqarari Hai,
Din Bhi Bhari Hai Raat Bhari Hai,

Zindagi Ki Bisaat Par Aksar,
Jeeti Baazi Bhi Humne Haari Hai,

Torr Do Dil Mera Shauq Se Torr Do,
Cheez Meri Nahi Tumhari Hai,

Baar-e-Hasti Utha Saka Na Koi,
Ye Gham-e-Dil Jahan Se Bhari Hai,

Aankh Se Chup Ke Dil Me Baithe Ho,
Haaye Kaisi Ye Parda-Daari Hai.