Ye Jo Main Hoon, Mere Honey Ka Sabab Mitti Hai

Ye Jo Main Hoon, Mere Honey Ka Sabab Mitti Hai,

Khaak Hoon Aur Mera Naam-O-Nassab Mitti Hai,

Umar Bhar Main Phira Duniya Tere Pechche Pechche,

Marte Dum Muh Pe Khula Raaz K Sab Mitti Hai,

Ik Taraf Khaak Hai Aur Doosri Jaanib Duniya,

Main Zameen Zaad Hoon Aur Meri Talab Mitti Hai,

Kheench Leti Hai Mere Paaon K Neeche Se Zameen,

Shehar-E-Janaan Teri Galion Ki Ajab Mitti Hai,

Aey Masiha Nafaso Koi Ealaj-E-Gham-E-Khaak,

Aey Mere Chaara Garon, Jaan Balab Mitti Hai,

Tu Agar Hai To Hai Sona Mere Din Ki Chaandi,

Tu Nahi Hai To Ye Sara Zar-E-Shab Mitti Hai,

Woh Bhi Din The K Main Mitti Se Gurezaan Tha Jawaz,

Yeh Bhi Din Hain K Mere Chaarsu Abb Mitti Hai.

Runj De Kar Malaal Kartay Ho

Runj De Kar Malaal Kartay Ho,
Tum Bhi Kia Kamal Kartay Ho,

Dekh Kar Poch Lia Haal Mera,
Chalo Kuch Tu Mera Khayaal Kartay Ho,

Shehr-e-Dil Mein Ye Udasiyan Kaisi?
Ye Bhi Mujh Se Sawal Karte Ho,

Marna Chahein To Mar Nahi Saktay,
Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho,

Ab Kis Kis Ki Misaal Doon Main Jaanan?
Har Sitam Be Misaal Karte Ho.

Suna Hai Yaad Karte Ho

Suna Hai Yaad Karte Ho,

K Jab Bhi Sham Dhalti Hai,
Hijar Mei Jan Jalti Hai,

Tum Apni Raat Ka Aksar,
Sukoon Barbad Karte Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,

K Jab Panchhi Loat Aate Hain,
Ghamon K Geet Gaatay Hain,

Suno! Tum Loat Aao Na,
Yehi Fariyad Kartay Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,

Sitaray Jab Falak Pe Jagmagate Hain,
Wo Beetay Huway Pal Khoob Rulatay Hain,

Tum Uss Dum Apni Aankhon Mein,
Mujhay Aabaad Karte Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,
Mujhay Tum Yaad Karte Ho.