Chahat e zeest liye jeetay hain mar jatay hain

Hum bhi gumnaam kisi naam pay marjate hain
aur mar karr bhi tira naam hi kar jatay hain

Jaane kis naam se rishton ko nibhana hai hamein
aur kis naam se ayyaam guzar jatay hain

Waqt ki shaam kisi ne nahi dekhi lekin
shaam ka waqt tire naam hi kar jatay hain

Jis taraf jaake koi lout ke aaya hi nahi
jaane kyun log isi raah guzar jatay hain

Apni manzil ka pata puchhte phirtay phirtay
jaane kis raah pay jana tha kidhar jatay hain

Zeest ko zeest ki soorat nahi dekhi hum ne
chahat e zeest liye jeetay hain mar jatay hain

Mere andar bhi kayi mouj ubhar-te hain ‘Nisar’
jaane kyun kar mere andar hi utar jatay hain

Author: Ahmed Nisar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *