Sawan ki suhani ratoun mein

Sawan ki suhani ratoun mein ulfat ka zamana yaad Aaya,

bheegay is mousam mein ek khwaab sohana yaad Aaya,

 

pehley aksar woh hum se milne Aaya kartey they,

guzrey jab us koochy se to nazron ka milana yaad Aaya,

 

kuch manzar aisey bhi hotey hain Aankhon mein jo bas jaatey hain,

hum toot kar roye qismat pe jab waqt purana yaad Aaya

IshQ

Kahin ISHQ Ki Dekhi Ibtida,
Kahin ISHQ Ki Dekhi Inteha,

Kahi ISHQ Sooli Pe Charh Gaya,
Kahi ISHQ Ka Nezy Pe Sir Gaya,

Kahin ISHQ Sajdy Me Gir Gaya,
Kahin ISHQ Sajdy Se Phir Gaya,

Kahin ISHQ Dars-E-Wafa Bana,
Kahin ISHQ Husn-E-Ada Bana,

Kahin ISHQ Ne Sanp Se Daswa Dia,
Kahin ISHQ Ne Namaz Ko Qaza Kia,

Kahin ISHQ Saif-E-Khuda Bana,
Kahin ISHQ Sher-E-Khuda Bana,

Kahin ISHQ Toor Pe Deedar Hai,
Kahin ISHQ Zibah Ko Tayar Hai,

Kahin ISHQ Ne Behka Dia,
Kahin ISHQ Ne Shah-E-Misr Bana Dia,

Kahin ISHQ Ankhon Ka Noor Hai,
Kahin ISHQ Koh-E-Toor Hai,

Khain ISHQ Tu Hi Tu Howa,
Kahin ISHQ Allah Hoo Howa.