Mein ney nazar’on sey

Mein ney nazar’on sey is ko chum lia
Jo tum ney mujhey dia tha kabhi
Ik mehakta hua sa surkh gulab
Zindagi ki haseen raah’on mein
In mehakti hui fiza’on mein
Is ki khushbo mein din guzar’on gi
Mujh ko jenay ka hosla dey ga
Ik mehakta hua surkh gulab
Mein isi soch key samandar mein
Ghota zan thi key yak-ba-yak mujh ko
Dour rastey mein tum nazar aye
Tum kisi ajnabi si larki ko
Dey rahey thay khod apney hath’on sey
Ik mehakta hua surkh gulab!

Us ney kaha key

Us ney kaha key maat bohat gehri hoti hai
Sagar jesi is mein jo bhi doob gaya wo
Phir kab ubhara!
Jeet ko preet ki reet banao
Mein ney kaha ye baat bohat gehri hai lekin
Ye bhi to socho
Dil na hota senay mein to preet kaha’n thi?
Maat na hoti jewan mein to jeet kaha’n thi ?

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri

Na Wajood Apna, Na Rooh Apni,
Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri,

Na Dillagi Mein Sakoon Paya,
Na Aashiqi Mein Qarar Paya,

Na Visal Lamhay Hi Raas Aaye,
Na Firaq Hi Hum Guzar Paye,

Ajab Ye Chahat k Marhaly Hain,
Na Jeet Paye Na Haar Paye,

Na Hi Yaadon ki Dhundh Utri,
Na Dil K Daaman Ko Jharr Paye,

Na Aankhain Khwaboon ko Dhoondh Paein,
Na Khwab Aankhon Ko Dhoondh Paye,

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri,
Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri.