Ham Dekhen Gy By Faiz

Ham Dekhen gy,
Lazim Hai k ham bhe Dekhen gy,

Ham Dekhen gy,

Jab Zulm O sitam k Koh-a-Giraan,
Ruee ke Tarha urrh jayn gy,
Ham Mehkoomon k Paon taly,
Ye Dharti Dharr Dharr Dharky ge,
Aur Ahl-a-hakam k Sar oper,
Jab Bijli karr karr karky ge,

HAM DEKHEN GY..

Jab Arz-a-Khuda k Ka’by sy,
Sab Butt uthwaey jayn gy,
Ham Ahly wafa Mardood-a-haram,
Masnad pe Bithaey jayn gy,
Sab Taaj Uchaaly jayn gy,
Sab Takht Giraey Jayn gy,

HAM DEKHEN GY..

Bas Naam rahy ga Allah Ka,
Jo Gaib bhe hai Hazir Bhe,
Jo Naazir bhe hai Manzar bhe,
Uthy ga An’AlHaq Ka Naraa,
Jo Main bhe hun Or tm bhe Ho,
Aur Raaj kry ge Khalq-a-Khuda,
jo Main bhe hun Aur tm bhe Ho..

HAM DEKHEN GY….

“Faiz Ahmad Faiz”

Na Ganwao Nawak e Neem Kash by Faiz

Na ganwao nawak-e-neem kash dil-e-raiza raiza ganwa dia,

Jo bachay hain sung samait lo, tan e daagh’daar luta dia,

 

Mery charagar ko navid ho, saf e dushm’nan ko khabar karo,

Jo wo qarz rakhty thy jaan per wo hisab aj chuka dia,

 

Karo kajj jabeen pe sar e kafan, mery qatilon ko guman na ho,

Ke gharoor e ishq ka bank.pan, pas e marg ham ne bhula dia,

 

Jo ruky to koh e giran thy ham, jo chaly to jan se guzar gye,

Rah e yaar ham ne qadam qadam tujhy yaad.gaar bana diya…

“Faiz”

Har ik talash k baad

Rafiq.e.Rah thi Manzil har ik talash k baad..

Chutaa ye sath to Raah ki talash b na rahi….

Malool tha Dil e Ayina har kharash ke baad..

Jo paash paash hua, ik kharash b na rahi……

 

“Faiz”