Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai,

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Aur Tabeeron Ko Pana Hai,

Kuch Log Hain Ujray Dil Walay,
Un Sab Mein Pyar Basana Hai,

Aur Khizan Raseeda Angan Mein,
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai,

Kuch Toba Karni Baqi Hai,
Aur Rab Ko Humain Manana Hai,

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chhukana Hai

Ay Ku-e-Yaar Tere Zamane Guzar Gaye

Ay Ku-e-Yaar Tere Zamane Guzar Gaye,
Jo Apne Ghar Se Aaye Thy Wo Apne Ghar Gaye,

اے کوئے یار تیرے زمانے گزر گئے
جو اپنے گھر سے آئے تھے وہ اپنے گھر گئے

Ab Kaun Zakhm-o-Zahr Se Rakhega Silsila,
Jeene Ki Ab Hawas Hai Humein Hum To Mar Gaye,

اب کون زخم و زہر سے رکھے گا سلسلہ
جینے کی اب ہوس ہے ہمیں ہم تو مر گئے

Continue reading “Ay Ku-e-Yaar Tere Zamane Guzar Gaye”

Abhi Ek Shor Sa Utha Hai Kahin

Abhi Ek Shor Sa Utha Hai Kahin,
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin,

ابھی اک شور سا اٹھا ہے کہیں
کوئی خاموش ہو  گیا  ہے کہیں

Hai Kuch Aisa K Jaise Ye Sab Kuch,
Is Se Pehle Bhi Ho Chuka Hai Kahin,

ہے کچھ ایسا کہ جیسے یہ سب کچھ
اس سے پہلے بھی  ہو چکا ہے کہیں

Continue reading “Abhi Ek Shor Sa Utha Hai Kahin”

Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha

Ab Wo Ghar Ek Weeranah Tha Bas Weeranah Zinda Tha,
Sab Aankhein Dam Tor Chuki Thin Aur Main Tanha Zinda Tha,

اب  وہ  گھر  اک  ویرانہ  تھا  بس ویرانہ  زندہ  تھا
سب آنکھیں دم توڑ چکی تھیں اور میں تنہا زندہ تھا

Sari Gali Sunsan Pari Thi Bad-e-Fana K Pahre Mein,
Hijr K Dalan Aur Aangan Mein Bas Ek Saaya Zinda Tha,

ساری گلی سنسان پڑی تھی باد فنا کے  پہرے میں
ہجر کے دالان اور آنگن میں بس اک سایہ زندہ تھا

Continue reading “Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha”