Phir Se Na Aankhain Toot Barsain

Teri Socho Mein, Teri Soch Ki Mehver Me Kia Hai,
Tu Mujhse Sunn Teri Khudi Ki Tamannaa Kia Hai,

Main Teri Rooh Mein Utra Tha Kahan Kab Kaisay,
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kia Hai,

Main Terey Hijar Mein Sadiyan Guzaar Sakta Hon,
Ye Chaar Din Ki Judai Ka Nibhana Kia Hai,

Main Teri Zaat Pey Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon,
Ye Suraj, Chand, Sitaron Ka Lutana Kia Hai,

Meri Aankhon Ki Jheelon Me Wo Izteraab Aaya,
Ke Samandar Ke Tufanon Ka Fasana Kia Hai,

Kahi Phir Se Na Aankhain Toot Barsain Sawan Si,
Mujh Say Na Pooch K Ashkon Ka Fasana Kiya Hai.

Bujhe Bujhe Se Ajeeb Din Hain

Bujhe Bujhe Se Ajeeb Din Hain, Khwab Hai Na Khayal Koi,
Na Manzaron Me Koi Kashish Hai, Na Mausamon Me Jamal Koi,

Hum Ek Duje Ko Apni Apni Adhori Aankho Se Dekhte Hain,
Humari Barson Ki Chahaton Per Utar Raha Hai Zawal Koi,

Jo Hansna Chahen To Ashk Niklay Jo Rona Chahen To Hanste Jain,
Humare Jazbaat Girvi Rakh Kar Bana Raha Hai Misal Koi.

Ye Barishein Bhi Tum Si Hain

YE BARISHEIN BHI TUM SI HAIN

Jo Baras Gai To Bahar Hain,
Jo Theher Gai To Qarar Hain,

Kabhi Aa Gai Yunhi Be Sabab,
Kabhi Chah Gai Yunhi Roz-O-Shab,

Kabhi Shor Hain Kabhi Chup Si Hain,
Ye Barishein Bhi Tum Si Hain,

Kisi Yaad Mein, Kisi Raat Ko,
Ek Dabi Hoe Si Raakh Ko,

Kabhi Yun Howa K Bhuja Diya,
Kabhi Khud Se Khud Ko Jala Diya,

Kabhi Boond Boond Mein Ghum Si Hain,
Ye Barishein Bhi Tum Si Hain……..