Hijir k Mosam mein Ye Barish ka Barasna kesa

Hijir k Mosam mein Ye Barish ka Barasna kesa?
Ek Sehra Se Samandar ka Guzarna kesa?

Aey Mere Dil na preshan ho Tanha ho kar,
Wo Tere sath Chala kab tha Bicharna kesa?

Log kehte hain Gulshan ki Tabahi dekho,
Main to Veeran Sa Jungle tha Ujarna kesa?

Dekhne mein to koi Dard nahi Dukh bhi nahi,
Phir Ye Aankhon Mein Yun Ashkoon ka Ubharna kesa?

Bewafa kehne ki Jurrat bhi na Karna Us ko,
Us ne iqrar kiya kab tha Mukarna kesa?

Wo Mujhse Be-Sabab Uljha Nahi Tha

Wo Mujhse Be-Sabab Uljha Nahi Tha,
Wo Pehle Kabhi Aisa Nahi Tha,

 

Bohat Aala Tha Uska Zarf Lakin,
Wo Meri Zaat Ko Samjha Nahi Tha,

 

Wo Jitni Be-Rukhi Se Chal Dia Tha,
Main Itna Bhi Gaya Guzra Nahi Tha,

 

Ussay Main Kion Burra Tehraon Yaron,
Wo Acha Tha Faqat Mera Nahi Tha.

Sambhala Hai Hosh Jab Se

Sambhala Hai Hosh Jab Se, Muqaddar Sakht-Tar Nikla,
Parra Hai Wasta Jisse Wohi Teer-O-Tabar Nikla,

 

Sabaq Deta Raha Jo Umar Bhar Roshan Khayali Ka,
Usay Jab Paas Se Dekha, To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,

 

Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahy They Hum,
Usay Jab Chu K Dekha, Faqat Khaki Bashar Nikla,

 

Mohabbat Ka Khumar Utra, To Tab Sabit Howa Hum Par,
Jisy Hum Umar Samjhe Thy Wo Bemaqsad Safar Nikla.