Bohat Khoobsurat Ho Tum

Bohat Khoobsurat Ho Tum,
Bohat Khoobsurat Ho Tum,

Kabhi Main Jo Keh Do Mohabbat Hai Tumse,
To Mujhko Khudara Ghalat Mat Samjhna,
K Meri Zarorat Ho Tum,
Bohat Khoobsurat Ho Tum,

Bohat Khoobsurat Ho Tum,
Bohat Khoobsurat Ho Tum,

Hai Phoolon Ki Dali, Ye Bahen Tumhari,
Hain Khamosh Jadoo Nigahen Tumhari,
Jo Kanten Hon Sab Apne Daman Me Rakhlon,
Sajaon Main Kalyon Se Rahen Tumhari,
Nazar Se Zamane Ki Khud Ko Bachana,
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagana,
K Meri Amanat Ho Tum,
Bohat Khoobsurat Ho Tum,

Bohat Khoobsurat Ho Tum,
Bohat Khoobsurat Ho Tum,

Hai Chehra Tumhara K Din Hai Sunehra, Continue reading “Bohat Khoobsurat Ho Tum”

Qazaaq Aankhen, Gulaab Chehra

Qazaaq Aankhen, Gulaab Chehra, Badan Pe Salwat Nishan Ko Tarsey,
Lipatta Aanchal Simatta Daman Lams Mein Tere Iman Ko Terse,

Lacheeli Baahen Uthen To Tere Badan Ko Aise Kamaan Ker Den,
Har Ek Kaafi Har Ek Kavita Asar Mein Tere Bayan Ko Terse,

Koi Mehakta Garam Tanaffus Koi Chatakta Sureela Naghma,
Dharrakte Seene K Sahilon Mein Koi Lehar To Tufan Ko Terse,

Namood Komal Wajood Resham, Thakan Ko Chunti Aghosh-e-Niswan,
Mere Machalte Ghayoor Jazbe Dua Mein Teri Amaan Ko Terse,

Woh Neeli Nass Mein Sayaal Jaisi Nashay Ko Japti Nabz Ki Maala,
Sharab Jaise Gaahak Ko Dhoonde Khumar Sood-o-Zayan Ko Terse,

Sharar Se Uljha Agan Se Khaila Yeh Shauq Akhir Ko Laut Aaya,
Tawaf-e-Zahir To Ker Liya Ab Nazara Deed-e-Nihan Ko Terse,

Sabhi Se Makhfi Khudi Pe Afshan Saim! Bata De Yeh Raaz Kia Hai,
Qareena Ab Yeh Baeed Ker De Jazab Bhi Ab To Ayaan Ko Terse.

Pholon ka Guldasta

Pyar:
aik khoobsorat jazba

Dil:
aik khoobsorat Ghar

Zindagi:
aik khoobsorat Safar

Dosti:
aik khoobsorat Rishta

Aur aap
in tamam khoobsorat
Pholon ka Guldasta