Aisa Hai K Sab Khwab Musalsal Nahin Hote

Aisa Hai K Sab Khwab Musalsal Nahin Hote,
Jo Aaj To Hote Hain Magar Kal Nahin Hote,

ایسا ہے کہ سب خواب مسلسل نہیں ہوتے
جو آج تو ہوتے ہیں مگر کل نہیں ہوتے

Andar Ki Fazaon K Karishme Bhi Ajab Hain,
Menah Toot K Barse Bhi To Badal Nahin Hote,

اندر کی فضاؤں کے کرشمے بھی عجب ہیں
مینہ ٹوٹ کے برسے بھی تو بادل نہیں ہوتے

Continue reading “Aisa Hai K Sab Khwab Musalsal Nahin Hote”

Dil Munafiq Tha Shab-e-Hijr Mein Soya Kaisa

Dil Munafiq Tha Shab-e-Hijr Mein Soya Kaisa,
Aur Jab Tujh Se Mila Toot K Roya Kaisa,

دل منافق تھا شب ہجر میں سویا کیسا
اور جب تجھ سے ملا ٹوٹ کے رویا کیسا

Zindagi Mein Bhi Ghazal Hi Ka Qarina Rakkha,
Khwab-Dar-Khwab Tere Ghum Ko Piroya Kaisa,

زندگی میں بھی غزل ہی کا قرینہ رکھا
خواب در خواب ترے غم کو پرویا کیسا

Continue reading “Dil Munafiq Tha Shab-e-Hijr Mein Soya Kaisa”

Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakkha Hai

Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakkha Hai,
Magar Charagh Ne Lo Ko Sambhal Rakkha Hai,

اگرچہ زور ہواؤں نے ڈال رکھا ہے
مگر چراغ نے لو کو سنبھال رکھا ہے

Bhale Dinon Ka Bharosa Hi Kia Rahen Na Rahen,
So Main Ne Rishta-e-Gham Ko Bahal Rakkha Hai,

بھلے دنوں کا بھروسا ہی کیا رہیں نہ رہیں
سو میں نے رشتۂ غم کو بحال رکھا ہے

Continue reading “Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakkha Hai”

Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak,
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf K Sar Hone Tak,

آہ کو چاہیے اک عمر اثر ہونے تک
کون جیتا ہے تری زلف کے سر ہونے تک

Dam-e-HarMauj Mein Hai Halqa-e-SadKam-e-Nahang,
Dekhein Kia Guzre Hai Qatre Pe Gohar Hone Tak,

دام ہر موج میں ہے حلقۂ صد کام نہنگ
دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک

Continue reading “Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak”