Kabhi Jo Waqt Par Jaye

Kabhi Jo Waqt Par Jaye,

Tumhen Mujh Se Bicharhna Ho,

Tumhe Wade Se Phirna Ho,

To Beshak Dair Mat Karna,

Mujhe Naraz Kar Dena,

Tum Apni Simt Chal Dena,

Magar Jab Laut K Aana,

Tumhen Mitti K Teelay Par,

Main Shayad Na Dikhai Don,

Magar Heran Mat Hona,

Wahin Do Char Qadmon Par,

Mazaar-E-Bekaran Hoga,

Wahan Ek Phool Rakh Dena,

Aur Ik Shama Jala Dena,

Aur Apna Rukh Badal Lena,

Aur Apni Simt Chal Dena.

Dard Jeet Jata Hai

Dost Milte Julte Hain,
Sath Sath Chalte Hain,
Sath Sath Chalne Mein,
Ranjishen To Hoti Hain,
Ranjishon Me Bhi Lekin,
Chahatein To Hoti Hain,
Chahaton Ki Bhi Har Pal,
Ek Ajab Kahani Hai,
Hont Hanste Rehte Hain,
Aankhen Bheeg Jati Hain,
Bheegi Nigahon Mein,
Khwab Jalte Bhujhte Hain,
Dard K Is Safar Mein Kuch,
Morr Aisey Aaty Hain,
Khwab Toot Jate Hain,
Sath Choot Jate Hain,
Kirchiyan Uthane Me,
Waqt Beet Jata Hai,
Dard Jeet Jata Hai.

Chalo Ek Nazm Likhte Hain

Chalo Ek Nazm Likhte Hain,
Kisi K Naam Karte Hain,
Magar Ye Sochna Hai Ab,
K Us Me Zikar Kis Ka Ho,
K Us Me Baat Kis Ki Ho,
K Us Me Zaat Kis Ki Ho,
Aur Ye Bhi Farz Karte Hain,
K Jis Pe Nazm Likhte Hain,
Humain Us Se Mohabbat Hai,
Humare Sare Jazboon Ko,
Bus Us Ki Hi Zarorat Hai,
Chalo Ik Kaam Karte Hain,
K Hum Jo Nazm Likhte Hain,
Wo RAB K Naam Karte Hain,
Wohi Unwan Ho Is Ka,
Usi Ka Zikr Ho Is Mein,
Usi Ki Baat Ho Is Mein,
Usi Ki Zaat Ho Is Mein,
K Wo KHALIQ,
Wohi MALIK,
Wohi RAZIQ,
Wohi Haqdar Hai Is Ka.

Batao Kesa Lagta Hai

Batao Kesa Lagta Hai?
Kisi Ko Paa K Kho Dena,
Kisi K Sath To Chalna,
Magar Us Ka Na Ho Pana,
Khudi Ko Kosty Rehna Magar,
Us ko na kuch kehna,
Khudi Girna, Sanbhalna, Hansna Aur Ro Dena,
Batao Kesa Lagta Hai?
Khazan Ki Sakht Sardi Me,
Hijr Ki Lambi Raaton Me,
Kisi Ki Yaad Me Rona,
Kisi Ko Sochtey Sochtey Apni Ankhen Band Karna
Aur Andheron Me Chalay Jana,
Batao Kesa Lagta Hai?
Naye Rishton Me Rang Jana,
Magar Kisi Ko Bhool Na Pana?

Batao Kesa Lagta Hai?