CHAHAT Ka sirf aik usool hai

CHAHAT Ka sirf aik usool hai.
Insan ya to toot K Chahta hai Ya phir Chahat me toot jata hai.
Jab toot K Chahe to duniya samet leta hai Or jab Chahat me toot jata hai to bikhar jata hai!

Toot k Chahe to mout ko hara deta hai, Or Chahat me toot jaye to zindagi se “HAAR” jata hai…!!

Sunehri Baatein

KHAMOSHI: Aisa darakht hai jis pr karrwa phal nahi lagta.

HASAD: Aisi deemak hai jo insan ko andar or bahir se khatam karti hai.

SACHAI: Aisi dawa hai jis ki lazzat karrwi magar taseer shehad se ziyada meethi hai. ZAHANAT: Aisa nadir poda hai jo mehnat k bagheir nahi lagta.

KHUSH AKHLAQI: Aisi khushbu hai jo meelon door se mehsoos ho jati hai.

NAFS:  Wo ghorra hai jis pr insan qabu paa le to duniya us k qadmon mein hoti hai…!!

Hazrat Ali (R.A)