Jin Lamhon Mein Hum Sath Rahe

Kuch Yaadein Hain Un Lamhon Ki,

Jin Lamhon Mein Hum Sath Rahe,

Khushiyon Se Bhare Jazbaat Rahe,

Ek Umar Guzari Hai Hum Ne,

Jahaan Ruthe Howe Bhi Hanste The,

Kuch Sunte The Kuch Sunate The,

Hum Roz Subah Jab Milte The,

To Sab K Chehre Khilte The,

Pur Lutf Wo Manzar Hota Tha,

Sab Mil Kar Batein Karte The,

Hum Soch K Kitna Hanste The,

Wo Goonjh Humare Hansne Ki,

Ab Ek Puraani Yaad Bani,

Ye Batein Hain Un Lamhon Ki,

Jin Lamhon Mein Hum Sath Rahe.

*****************************

Dedicated To All Friends.

Suna Hai Yaad Karte Ho

Suna Hai Yaad Karte Ho,

K Jab Bhi Sham Dhalti Hai,
Hijar Mei Jan Jalti Hai,

Tum Apni Raat Ka Aksar,
Sukoon Barbad Karte Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,

K Jab Panchhi Loat Aate Hain,
Ghamon K Geet Gaatay Hain,

Suno! Tum Loat Aao Na,
Yehi Fariyad Kartay Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,

Sitaray Jab Falak Pe Jagmagate Hain,
Wo Beetay Huway Pal Khoob Rulatay Hain,

Tum Uss Dum Apni Aankhon Mein,
Mujhay Aabaad Karte Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,
Mujhay Tum Yaad Karte Ho.

Kab hoe pyar ki barsat humain yaad nahi

Kab hoe pyar ki barsat humain yaad nahi,
Khof mein doobi mulaqat humain yaad nahi,

Hum to madhosh thay kuch itna us ki chahat mein,
Us ne kab chor dia sath humain yaad nahi,

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kati hai,
Janay kis jurm ki pae hai saza yadd nahi,

Main ne palko se dar e yaar par dastak di hai,
Main wo sahil hon jisay koi sada yaad nahi,

Aao ek sajda karain Aalam e madhoshi mein,
Log kehtay hain k Rind ko Khuda yaad nahi.
(Saghar Siddiqui)