Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun

Main Sans Bhi Gin Kar Leta Hun,
Jis Roz Safar Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Jahan Zaat, Nasal K Jhagro mein,
Hatyar Uthaya Jata Hai,
Har Roz Kai Masoomon Ka,
Jahan Khoon Bahaya Jata Hai,
Jahan Moat Bhi Matam Karti Hai,
Main Us Nagri Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Har Roz Kisi Maa Ka Beta,
Be Moat Hi Mara Jata Hai,
Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko,
Dharti Mein Utara Jata Hai,
Kia Main Bhi Mara Jaunga?
Main Isi Fikar Mein Rehta Hun,
Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai,
Main Usi Shehr Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun.

saddar jayega?

1 admi rikhshay waly se:
khan sahab saddar jayega?
khan: humara khayal hai nahi jayega.

admi: aray bhai saddar jayega?
khan: shayad 2013 tak jayega.

admi: abay me bol raha hon regal chowk, sadar jaye ga?
khan: ye to saddar ka marzi hai k regal chowk jaye ya banaras chowk hum se poch kar thorhi jayega.

admi: abay ghady to regal chowk sawari le k jayega.
khan: to ye kaho na, hum samjha tum zardari ka baat kar raha hai… nai hum to nahi jaye ga.

Awaam ki bardasht

1 Badshah ne apne Wazeer se awaam ki bardasht maloom karne ko kaha.

Saray Log kaam pr jane ke Liye 1 pull pr se guzarte thay Wazeer ne pull pr se guzarne ka tax lga dya Mgr koe ehtajaj nahi hua Wazeer ne tax barha kr 10 guna krdia Phr bhi koi ehtajaj nahi hua Wazeer hr tax dene walay ke 10 jutay bhi Lgane ka hukum dia Aglay din Log Badshah ke Mehal ke bahr jma hogae Badshah samjha ab ehtajaj hoga Badshah ne Logo se unka masla pucha? Jawab aya ke Jutay maarne wala 1 hi admi hay Lambi Line Lgani parti hay Kaam pr Late hojate hen Jutay maarne walo ki tadaad brhaee jae…….!

Dedicated to ALL HUMWATAN……!